Skip to main content

Haal-e-Dil

Haal-e-dil

Aaj kal yun hi muskurati rehti hu

Jhalli se rehni wali main,
Baar baar Sajne sawarne main lag jati hu!

Khanabadosh sa mera dil, jo yaha waha kuch dhunda karta tha,
Ab theravh chahta hai.

Bheed main bhi akeli rehne wali main,
Aur ab akele baithe baithe has deti hu!

Kisi dost ne bola, lagta hai ise pyaar ho gaya
Aur tab ehsaas hua ki haan, barso baad khud se phir ek baar pyaar karne lagi hu!

Comments

Post a Comment